Friday, December 16, 2011

DEEN AASAAN(SIMPLE) HAI USKO MUSHKIL NA BANAAO!!!




Bismillahirrahmanirraheem




DEEN AASAAN(SIMPLE) HAI USKO MUSHKIL NA BANAAO!!!



Hz abu hurairah ra se riwayat hai ki nabi akram sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne farmaya:-" deen aasaan hai aur jo shakhs bhi isko mushkil banaayega wah maghloob hoga, lihaaza durust tareeqa aur mayanaah rawaiyyah akhtiyaar karo aur khush ho jaao aur madad lo subah wa shaam ki ibaadat se aur aakhir shab ka kuch hissa ibadat me guzaaro"


( bukhari ,kitab ul imaan)



TASHRIH- Islam jis shakhl me quran wa sunnat me pesh kiya gaya hai wah aasaan hai, chunanche iske ahkaam aasaan hai aur wah bojh nahi daala gaya hai, jo ghujashta ummaton par daala gaya tha, maslan yahud par iski sarkashi ki wajah se sabt(saturday) se nihaayat shakht ahkaam diye gaye they, lekin ummat muhammadia ke liye jumah ki namaz ka aasaan huqm diya gaya, isi tarah islam me rukhsati bhi rakh di gayi hai taake koi shakhs bhi gair mamooli mashakkat me na padhe,

ab jo shakhs is Aasaan deen ko mushkil banaayega to deen maghloob nahi hoga balke wah khud maghloob ho jaayega,

yaani jo mushkilaat usne paida ki inka wah muthamal nahi ho sakega..

Isliye hadith me hidayat ki gayi hai ke durust tareeqa akhtiyaar karo, yani deen par amal karne ka wah tareeqa akhtiyaar karo jo sahih ho,

isme apni taraf se koi shakhti paida na karo.

Misaal ke taur par yah shakhti ke aadmi kisi ek fiqhi maslak hi ka paband ho kar rah jaaye aur kisi dusre fiqhi maslak ya dusre ulema ki koi baat jo iske fiqhi maslak se yaksaaniyat na rakhti ho qubool na kare.

Zaahir hai yah qaid laga kar muqallideen ne islam ko mushkil bana diya aur aasaani aur sahooliyat ki raah band kar di......


ALLAH HAMEN SAMJHNE KI TAUFEEQ DE.........AMEEN